Abhi- abhi to mile hain
Do udte hue parinde
Ek dheer dharte- dharte
Ek fikra karte -karte
Wo dhairya tha sneh ka
Aur fikra thi bhavishya ka
Pani mila jalte hue ko
Fikra zinda rah gya h
Abhi - abhi to mile hn
Do udte hue parinde
Aadhar kya us fikra ka
Simta de jo dono ke par
Barsaaat bhi ab ho gyi
Aakash par halka hua na
Bheenge hue dono ke par hain
Fikra saanse le rha hai
Abhi - abhi...
Do udte...
Kahte jisse Ham Aabroo Hain
Jode hue ham dharm se hain
Jaat - paat, rang - vesh
Inpe hi to atke hue hain
Mithya Nahin kya vo Pratishtha
Jo aadhar - e - fikra ban chuka hai
Abhi - abhi...
Do udte...
Ek dharm Mein ek jaat Mein
Ho Milan ek vritti mein
Kitne sahaj the log ve jo
Ye tajoorve de gaye hain
Bhul unse ye hui ki
Shodhan nahin batla gaye hain
Abhi - abhi...
Do udte...
Ham Yahi bas Sikh liye ki
unsa hi Ijjat Mile
ye to dekha hi Nahin ki
sahjta vo dhampe Nahin the
Kyon na ye bhi sikh len Ham
Saral ganit ke kathin prashn hi
haan Yahi to ban jayen ham.
Abhi - abhi...
Do udte...
kya Nahin Rudhi hue hum
Bin vichare jee Rahe Hain
Aarambh hi Na Ho Milan Ka
to Kaise Vividhta Ek Hoye
Baithe Rahen Sab Apne Ghar Mein
To Kaun Gali ko jagmagaye
Abhi - abhi...
Do udte...
Band rakhte Pinjre me
na to par hi Kat lete
Kyon Diya Shiksha Agar
Usi Ki chamakk se dar Rahe
Har Bhavna par Jeet aapki
to Insan Kaise Huye ham?
Abhi - abhi...
Do udte..
Agraj hain aap Hamesha Rahenge
unch neech behtar hi janenge,
Kurban Kar den Ham Agar
bolen ki bachche Kaun hue firr ?
Dwaar dono Hi Khule Hain
Ek aap manen Nahin
duja hum chunen nahin
Abhi - abhi....
Do udte...
Maan liya hai ab to ye ki
Astitva Nahin is Prem ka hai
char din Ji Le Ham Milkar
Fir To Dur Jana likha Hai
Jeet Ke Bhi Kya Milega
Do Dilon ko cheer ke
ye bhi Didar Kijiyega
hm parindon ko janm deke
Abhi - abhi to mile hain
Do udte hue parinde